नीलकंठ महादेव की कहानी || Neelkanth Mahadev
Is video mein Guru Randeep ji ne bataya hai Ki Bhagwan Shiv ko Neelkanth kyun kaha jata hai. Jab samundra manthan hua to Shiv ne jeevon ki raksha ke liye usmein nikale hue halahal vish ko apne gale mein dharan kar liya.
Neelkanth ke gale ka rang Neela isiliye hai jo is baat ka Pratik hai ki jo vishuddh chakkar hai uska rang neela hota hai . Is vish ko Kanth per hi rok Diya na to niche sharir mein utarne diya aur na upar vichaaron mein chadhne diya. Tamogun Ke adhishtha Dev Bhagwan Shiv ki kripa Ke Bina man par niyantran nahin ho sakta. Shivling per jal chadhane ka matlab hota hai anshi aur ansh ka ekikar ho jana. Aap sabhi ko Shri Govind dham , gatauli , Jind ( Haryana) ki taraf se Shivratri ki shubhkaamnayein .